SAJJADA NASHEEN

ALHAJ SUFI KHAWAJA SYED GHAYASUDDIN CHISHTY

AL HAJ SUFI KHAWAJA SYED GHAYASUDDIN CHISHTY EK NAZAR MEIN

(BIOGRAPHY)By : Tutiye Khawaja Khuda Dad Khan Monis,

Ex-Nazim Dargah Khawaja Sahib, Ajmer.

Sufi ibne Sufi ibne Sufi yani khandane Khawaja Gharib Nawaz (R.A.) ke chashm-o-chiragh, Surat-o-Seerat Chande Aftab-o-Chande Mahtab, Chehra Muraqqa-e-Husn-o-Jamaal, Aankhon mein Buzrugon ka jalal, Silsila-e-Nasb Sultan-ul-Hind Huzoor Gharib Nawaz (R.A) se mil raha hai. to Hasb (Nanihal) chand hi waston se Shah-e-Vilayat Jaipur, Hazrat Maulana Ziauddin Chishty Nizami (R.A) se munsalik ho raha hai.

1st July 1959 ko Ajmer Sharif mein paida hue. Dada Buzurgwar(R.A) ne Ghayasuddin naam  rakha. Walid (Father) Shaikhul Mashaekh  Diwan Syed Soulat Hussain (R.A) aur dada Shaikhul Mashaekh Diwan Syed Inayat Hussain (R.A), Hazrat Khawaja Moinuddin Hasan Chishty(R.A) ke Sajjadanashin aur Dargah Aaliya ke Diwan rahe. Aap ka Shijrah Nasb is tarah hai:

1) Sultanul Hind Khawaja e Khawajgan Khawaja Moinuddin Chishty (R.A)

2) Hazrat Khawaja Syed Fakhruddin Chishty (R.A) Sarwaar Sharif

3) Hazrat Khawaja Syed Hisamuddin Jigar Sokhta (R.A), Sanbhar Sharif

4) Hazrat Khawaja Syed Qayamuddin Babarbal (R.A)

5) Hazrat Khawaja Syed Najmuddin Khalid (R.A)

6) Hazrat Khawaja Syed Kamaluddin Hasan Ahmed (R.A)

7) Hazrat Syed Shahabuddin (R.A)

8) Hazrat Syed Tajuddin Bayazeed Buzurg (R.A)

9) Hazrat Syed Nooruddin Mohammad Tahir (R.A)

10) Hazrat Syed Rafiuddin Bayazeed Khurd (R.A)

11) Hazrat Syed Khawaja Moinuddin Salis (R.A)

12) Hazrat Khawaja Syed Abul Khair (R.A)

13) Hazrat Diwan Khawaja Syed Moinuddin Rabey (R.A)

14) Hazrat Syed Mubarak alias Diwan Shah (R.A)

15) Hazrat Syed Nizamuddin (R.A)

16) Hazrat Syed Khizar Mohammad (R.A)

17) Hazrat Syed Mohammad Mohsin (R.A)

18) Hazrat Syed Shamsuddin (R.A)

19) Hazrat Syed Bande Ali (R.A)

20) Hazrat Syed Khidmat Ali (R.A)

21) Hazrat Syed Mizaj Ali (R.A)

23) Hazrat Syed Talib Hussain (R.A)

24) Hazrat Diwan Syed Inayat Hussain (R.A) Sajjadanashin Huzoor Gharib Nawaz (R.A)

25) Hazrat Diwan Syed Soulat Hussain (R.A) Sajjadanashin Huzoor Gharib Nawaz (R.A)

26) Hazrat Khawaja Syed Ghayasuddin Chishty Sahib

Hazrat ne ibtedai taleem apne walid se aur khusoosi tarbiyat apni waleda se hasil ki. is ke baad Jodhpur ja kar Mufti-e-Azam Rajasthan Mufti Ashfaq Hussain Sahib  Naimi ki nigrani mein Darul Uloom Ishaqia se Maulvi ki sanad ke sath Tajweed-o-Qirat ki taleem hasil ki. Duniyavi taleem Govt. Moinia Islamia Senior Secondary School se Higher Secondary ka imtehan pass kiya.

Akle Halal aur kasbe maash ke liye muqabele ke imtehaan (competitive exam) mein numaya kamyabi hasil kar ke Rajasthan Public Service Commission Ajmer ke ministrial staff mein taqarruri (posting) Hasil ki aur 1979 se vaheen  mulazimat ki.  Aap tarraqi kartey hue Deputy Secretary ke ohda (Post) se 30-06-2019 ko retire hue. Allah Tala ne jawani ke alam mein jis buzurgi, aur roohani  naemat se nawaza hai iska natija hai ke daftar (office) ka har chota bada, hakim aur matehat (subordinate) sabhi izzat ki nazar se dekhte thay aur inhe daftar ke liye sarmayae iftekhar samajhte thay. Aap 1977 mein apne walid se bait hue aur Silsila-e-Chishtiya mein sanad-e-khilafat hasil ki. 2002 mein walid ke inteqal per Jalsa-e-Aam mein jumla Sufia Sajjadanashin aur buzurgane Silsila ne aap ko aap ke walid ka Janashin tasleem kar ke Rasm-e-Dastaar bandi ada ki. Sekdon (hundreds of) murid mulk aur beroni mulk aap ke faiz se mustafiz ho rahe hain.

Khawaja Syed Ghyasuddin Chishty ki shakhsiyat ko sajane sawarne mein jin buzurgaon ka hath raha hai un mein Walidain ke alawa, Hafiz Maulvi Sufi Zia-ul-Haq Jehangiri Ajmer, Allama Anwar Sabri Delhi, Syed Shamshuddin Khudanumai, Hyderabad aur Mufti Ashfaq Hussain Sahib Naeemi Mufti-e-Rajasthan- Darul Uloom Ishaqiya, Jodhpur shamil hain.

Aap ke Walid Hazrat Diwan Syed Soulat Hussain (R.A) apni ruhani azmaton ke sath Ilm-o-adab se bhi gehra shaghaf (interest) rakhte they. Salon Saal ek monthly magazine ‘Sultanul Hind’ nikaali, All India level ke adabi aur dini jalse munaqid kiye. Alawa is ke tasneef-va-taleef aur tarteeb mein hama waqt masroof rahe. Hazrat Diwan Syed Soulat Hussain (R.A) ka sab se bada karnama ‘Diwan Khawaja Moinuddin’ / ‘Kalame Irfan Taraz’  hai. Jise Hyderabad, Aligadh, Rampur, Patna etc., ki libraries mein dastiyab mustanad nuskhon ka badi mashaqqat aur mehnat se Mutalea Aur Muqabla kar ke aap ne murattab kiya aur is ki ifadiat ki khatir is mein manzoom Urdu tarjuma bhi shamil kiya. Chunache Qibla Ghayasuddin Sahib ko bhi ye adabi zouq virse (heredity) mein mila hai. Alhamdullillah Diwan Khawaja Moinuddin ka teesra edition bhi aap ki nigrani mein shaye ho chuka hai. Alava iske Sultanul Hind Gharib Nawaz (R.A) ki qadeem savaneh (Biography) aur khandane Gharib Nawaz (R.A) ki Farsi Kitab ‘Moinul Aulia’ jo Syed Imamuddin Chishty Deputy Collector, Ajmer ka likha hai iska Urdu tarjuma farsi ke sath aap ne shaya farmaya.’Asrarul Wujood’ ka second edition bhi aap ne shaya farmaya. Naghmat-e-Khawaja, Salam-e-Khawaja, Guldasta-e-Chishtiya aur Khatm Khawajgan aapki murattaba kitabein hain aur ye silsila Be hamdillah abhi jari hai.

Adbi sargarmiyon ke alava dini kamaon ke liye Khuda ne aap ko zaoqe tameer bhi ata kiya hai. Haveli Diwan Sahib mein aap ne Masjid-E-Soulatiya ki az’sare nao (Reconstruction) tameer karayi. Jis mein salaon se panj waqta Namaz ho rahi hai, aur Diwan Syed Soulat Hussain (R.A.) ka Qayam karda Jamia Moinul Uloom bhi isi Masjid main Qayam hai, jahan pichle kayee salon se bachon ko muft (free) buniyadi dini taleem di ja rahi hai.

Collectorate Ajmer se mili hue Masjid jo ab Masjid Mue Mubarak (Katchery) ke nam se Jani Jati hai, aap ki sarparasti aur nigrani mein dobara tameer hui, jis ka tameeri raqba pehle se das guna (Ten times) ho kar upari do manzil (second floor) bhi tameer ho chuki hai. Namaziyon ki badhti tadad ke pesh-e-nazar ye kam behad zaroori tha. Is kam ke liye Allah Ta’ala ne aap ko muntakhab kiya.Ye kam sawabe jariya bhi hai aur aap ki shakhsiat ko hayate dawam ata karne ke liye bhi kafi hai, Masha Allah.

Mukhtalif mahafile roohani, jalsa juloos mein ba-Haisiyat Aulad-e-Khawaja Gharib Nawaz (R.A), aap ki sadarat in ijtema’at ki kamiyabi ka Zamin hoti hai. Musabba’at  Ashr aur khusoosi wazaif-e-chishtiya apke vird mein Raat din shamil hain. Sadgi, inkesari aur behtareen akhlaaq ki sifat se Hazrat kuch is tarah muttassif hain ke aap se milkar buzurgane salf ki yad taza ho jati hai.  2006 aur 2008 main Haj ki sa’adat se faiziyab hone ke bad to in ke aadat-vo-atwar me ek khas nikhar sa aa gaya hai.

Qaum ki ladkiyon ki Islami taleem o tarbiat ke liye aapne mohalla Kamela, Delhi gate, Ajmer main Huzoor Khawaja Gharib Nawaz(R.A) ki waleda majeda ke nam se Madarsa “Jamia Mahe Noor” qayam farmaya aur madrasa board, Rajasthan se is ka ilhaq (affiliation) karvaya jahan kayi talibaat Islami talimat se aarasta ho rahi hain .  Is khaksar ne aap ke dada Diwan Syed Inayat Hussain (R.A) ko na sirf dekha hai balke un ki sohbat se faiz bhi paya hai. Unhon ne shaghle aftab ka kamiyab Amal kiya tha aur khuda ne aap ko ye khubi ata ki thi, ke koi shakhs un ki nigahon ki tab nahin la sakta tha. Un ki ankhaon se ankhen milana buhat mushkil tha. Meri ankhen ab yehi chamak Khwaja Ghayasuddin Sahib ki ankhaon mein dekh rahi hain.

WordPress Lightbox